jagta hun main ek akela duniya soti hai kitni wahshat hijr ki lambi raat mein hoti hai yaadon ke sailab mein jis dam main ghir jata hun dil-diwar udhar jaane ki khwahish hoti hai khwab dekhne ki hasrat mein tanhai meri aankhon ki banjar dharti mein ninden boti hai khud ko tasalli dena kitna mushkil hota hai koi qimti chiz achanak jab bhi khoti hai umr-safar jari hai bas ye khel dekhne ko ruh badan ka bojh kahan tak kab tak dhoti hai