kisi ke faiz-e-qurb se hayat ab sanwar gai nafas nafas mahak utha nazar nazar nikhar gai nigah-e-naz jab uthi ajib kaam kar gai jo rang-e-rukh uda diya to dil mein rang bhar gai meri samajh mein aa gaya har ek raaz-e-zindagi jo dil pe chot pad gai to dur tak nazar gai ab aas tut kar mujhe sukun nasib ho gaya jo sham-e-intizar thi wo sham to guzar gai kali dil-e-tabah ki khili na 'chishti'-e-hazin khizan bhi aa ke ja chuki bahaar bhi guzar gai