kahte hain azal jis ko us se bhi kahin pahle iman mohabbat par lae the hamin pahle asrar-e-khud-agahi diwane samajhte hain takmil-e-junun aakhir meraj-e-yaqin pahle chamka diya sajdon ne naqsh-e-kaf-e-pa lekin raushan to na thi itni ye meri jabin pahle har bar ye rah rah kar hota hai guman mujh ko shayad tere jalwon ko dekha tha kahin pahle ye baat alag thahri ab hum ko na pahchanen mahfil mein magar un ki aae the hamin pahle ye raaz-e-mohabbat hai samjhega zamana kya tum hasil-e-din aakhir ghaarat-gar-e-din pahle is kar-e-numayan ke shahid hain chaman wale gulshan mein bahaaron ko lae the hamin pahle taqdir ki mukhtari 'unwan' musallam hai hoti hai mohabbat bhi majbur yahin pahle