kisi ke gesu-e-pur-pech par dil-dar baiThe hain

kisi ke gesu-e-pur-pech par dil-dar baithe hain
wo ab kya jit sakte hain jo bazi haar baithe hain

asiran-e-qafas ka haal ab dekha nahin jata
thake hain phadphada kar jaan se bezar baithe hain

dil-e-ashufta de den ab kisi ko ji mein aata hai
ki us ki be-khudi se ho ke hum bezar baithe hain

khudara ek nigah-e-naz hi se dekh lo hum ko
gareban phadne ko aaj hum tayyar baithe hain

kahan baqi raha wahshat main shaghl-e-be-khudi koi
uda kar dhajjiyan jame ki hum bekar baithe hain

kisi ki bazm mein be-khauf phir jate hain gham khane
wo honge aur chhup kar jo pas-e-diwar baithe hain

yakayak apni ummidon ki duniya lut gai sari
nazar phirte hi un ki hum se sab bezar baithe hain

tujhe saqi hai sadma aaj phir se apni aankhon ka
dilon ke jam khali kar ke sab mai-khwar baithe hain

uthenge ye jabhi jab khud qaza aa kar uthaegi
jo is kuche mein zer-e-saya-e-diwar baithe hain

hamein parwa nahin saqi zara bhi jam-o-mina ki
kisi ki chashm-e-maigun dekh kar sarshaar baithe hain

bhala kyunkar rakhe phir un se ummid-e-wafa koi
hasinan-e-jahan jab darpai-e-azar baithe hain

shab-e-furqat kahan hai chain in aafat ke maron ko
yunhi thame kaleja aap ke bimar baithe hain

dil-e-mushtaq kahta hai chalo ab faisla kar len
ye sunte hain ki wo khinche hue talwar baithe hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close