na hua mail-e-wafa na hua mera matlab kabhi ada na hua naza mein un ka samna na hua ye bhi achchha hua bura na hua munh pe dale naqab aae hain hashr mein bhi to samna na hua nawak-e-yar hi raha hamdam dil se mere kabhi juda na hua bad-nasibi ki ai dil-e-betab tu hi ek laeq-e-saza na hua un ki taskin se aur badhna tha dard-e-dil tham gaya siwa na hua dur-andesh hai bahut naseh kitna chheda magar khafa na hua jama aghyar to hain mahfil mein mera kya main hua hua na hua mar-mita jin ke ishq mein 'sayyaf' wada un ka kabhi wafa na hua