kisi ke hijr mein yun tut kar roya nahin karte ye apna ranj hai aur ranj ka charcha nahin karte judai ki ruton mein suraten dhundlane lagti hain so aise mausamon mein aaina dekha nahin karte ziyaada se ziyaada dil bichha dete hain raste mein magar jis ne bichhadna ho use roka nahin karte hamesha ek masafat ghumti rahti hai panw mein safar ke baad bhi kuchh log ghar pahuncha nahin karte tani rassi pe dariya par utarna hi muqaddar ho to phir sinon mein gharqabi ka dar rakkha nahin karte hamein ruswa kiya is nind mein chalne ki aadat ne wagarna jagte mein hum kabhi aisa nahin karte 'hasan' jab ladkhada kar apne hi panw pe girna ho to phir edi pe itni der tak ghuma nahin karte