kisi ki yaad mein aaankhon ko lal kya karna jise bichhadna tha us ka malal kya karna hamein to us ki judai aziz rakhni hai ye jah-o-hashmat o mal-o-manal kya karna mohabbaten to faqat intihaen mangti hain mohabbaton mein bhala e'tidal kya karna ye kar-e-ishq to bachchon ka khel thahra hai so kar-e-ishq mein koi kamal kya karna wo rabte jo kiye khud hi kal-adam hum ne nae sire se phir un ko bahaal kya karna