kisi ke naqsh-e-pa par rakh diya hai jab se sar apna na dil apna na jaan apni na ghar apna na dar apna na koi karwan apna na mir-e-karwan koi khayal-e-yar rahta hai hamesha rahbar apna kahan baqi hai ab aql-o-khirad se wasta ai dil mera zauq-e-nazar khud ban gaya hai rahbar apna nasihat karne walon ka bhala ho kya wo samjhenge na qabu ishq par hai aur na hai dil par asar apna khuda jab nakhuda khud ban gaya hai meri kashti ka safina manzilen tai kar raha hai be-khatar apna muqaddar se kabhi hota nahin mayus main hamdam mujhe kis baat ka gham ho qawi hai chaaragar apna 'ghubar' apni haqiqat kuchh nahin hai bazm-e-hasti mein hun khush-qismat habib-e-rab hua hai chaaragar apna