mahdud hai ye wusat-e-alam bhi nazar mein gum ho gaya hun aisa teri rahguzar mein main kashmakash-e-dahr se be-ilm hun ab tak tu khud hi bata kaun hai har chiz mein shar mein duniya mere mear pe utregi na ta-umr ye to hai khilauna meri nam-dida nazar mein anqa hai zamane se musawat-o-ukhuwwat ausaf-e-bashar dhundne nikle ho bashar mein takhil meri arsh ka rakhti hai taqaddus hai rifat-e-aflak meri fikr ke par mein le jaega tu mujh ko kahan ai gham-e-hasti saya bhi mera sath nahin ab to safar mein hai naqsh-e-kaf-e-pa tera manzil ki bashaarat ab qafile thahrenge meri rahguzar mein sheron mein 'nishat' apne wo laoge kahan se jo rang taghazzul ka hai naghmat-e-‘jigar’ mein