kisi ke naqsh-e-qadam ka nishan nahin milta wo rahguzar hun jise karwan nahin milta qadam qadam pe teri rah mein falak hail mujhe talash se bhi aasman nahin milta unhen tariqa-e-lutf-o-karam nahin malum hamein saliqa-e-ah-o-fughan nahin milta urus-e-dahr ko ghaza bhi chahiye lekin ghubar-e-jada-e-amn-o-aman nahin milta dhadak raha hai har ahl-e-wafa ke sine mein hamara dard bhara dil kahan nahin milta sabhi ko dawa-e-mahr-o-wafa hai duniya mein jo mehrban na ho wo mehrban nahin milta gham-e-hayat ke pur-haul qahqahon ke siwa kahin se apna jawab-e-fughan nahin milta dil-e-shikasta ko le jaiye kahan 'basit' dimagh-e-nakhwat-e-shisha-garan nahin milta