main tera koi nahin phir bhi puchh baitha hun ye aansuon ki chamak hai ki chashm-e-tar mein charagh har ek shakhs ko milta kahan hai raushan hath ki rab jalata nahin dast-e-be-hunar mein charagh to hum bhi raat ke jangal mein so gae hote na bante panw ke chhaale agar safar mein charagh main raushni ke taaqub mein kuchh na dekh saka lagi wo thes ki dhundla gae nazar mein charagh jala ke chhod diya kis ne bahte dariya mein na ye bhi socha ki aa sakta hai bhanwar mein charagh tumhaara shahr mere ganw se hai kitna alag yahan gulon ki jagah khilte hain shajar mein charagh dil-o-dimagh mein bharne laga hai raat ka dar jalana bhul gae log rahguzar mein charagh