kisi ke ru-ba-ru baitha raha main be-zaban ho kar meri aankhon se hasrat phut nikli dastan ho kar khuda-hafiz kisi ke raaz-e-ulfat ka khuda-hafiz khayal aate hi ab to dil dhadakta hai fughan ho kar piya aab-e-baqa ai khizr ab tasir bhi dekho qayamat tak raho paband umr-e-jawedan ho kar yakayak wo mariz-e-gham ki surat ka badal jaana wo ro dena kisi na-mehrban ka mehrban ho kar kitab-e-dahr ka dilchasp tukda hai meri hasti mujhe dekho ki baitha hun mujassam dastan ho kar suna hai is taraf se bhi janab ishq guzrenge meri hasti na ud jae ghubar-e-karwan ho kar