koi chaara nahin dua ke siwa koi sunta nahin khuda ke siwa mujh se kya ho saka wafa ke siwa mujh ko milta bhi kya saza ke siwa bar-sar-e-sahil murad yahan koi ubhra hai nakhuda ke siwa koi bhi to dikhao manzil par jis ko dekha ho rahnuma ke siwa dil sabhi kuchh zaban par laya ek faqat arz-e-muddaa ke siwa koi raazi na rah saka mujh se mere allah teri raza ke siwa but-kade se chale ho kabe ko kya milega tumhein khuda ke siwa doston ke ye mukhlisana tir kuchh nahin meri hi khata ke siwa mehr o mah se buland ho kar bhi nazar aaya na kuchh khala ke siwa ai 'hafiz' aah aah par aakhir kya kahen dost wah wa ke siwa