kisi ke wada-e-farda mein gum hai intizar ab bhi khuda jaane hai kyun ek be-wafa par eatibar ab bhi kabhi ki thi tamanna lala-o-gul ki nigahon ne rulati hai lahu ke rang mein fasl-e-bahaar ab bhi tere qaul-o-amal mein farq milta hai mujhe zahid zaban par lafz-e-tauba hai nigah mein hai khumar ab bhi khizan ke baad is ummid par gulshan nahin chhoda ye mumkin hai ki chal jae hawa-e-khush-gawar ab bhi hamare dil ko jis ne shams' virani inayat ki usi ko yaad karti hai nigah-e-be-qarar ab bhi