zara zara si baat par wo mujh se bad-guman rahe jo raat din the mehrban wo ab na mehrban rahe judaiyon ki lazzaton ki wusaten nahin rahin wo khush-khayal wasl ban ke mere darmiyan rahe paheliyan bujhao mat bahane ab banao mat yahin kahin nahin the tum batao phir kahan rahe wo mere sath kab na the gila karun jo main bhala zara zara si baat ka fuzul kyun bayan rahe na jhil koi shahr mein talayya-tal bhi nahin ye lashkar-e-parind phir bataiye kahan rahe mohabbaten murawwaten lihaz ya khulus ho sabhi hain dar-ba-dar ki ab na in ke qadr-dan rahe masarraton ki dhup un ke flat mein hai raat din hamare gham ki bastiyon mein karb-e-jawedan rahe zara zara si baat par bichhad gaya jo be-sabab ana wa zid ki kashmakash mein hum yahan wahan rahe ye aasman ki tirgi numaishon ki raushni 'kanwal' tumhaari rah mein hamesha kahkashan rahe