kisi ke waste jita hai ab na marta hai har aadmi yahan apna tawaf karta hai sab apni apni nigahen samet lete hain wo khush-libas sar-e-sham jab bikharta hai main jis ki rah mein har shab diye jalata hun wo mahtab zamin par kahan utarta hai hamara dil bhi hai viran haweliyon ki tarah tamam raat yahan koi aah bharta hai main us ke naqsh-e-kaf-e-pa bhi chhu nahin sakta wo tez-gam hawaon ke par katarta hai na baam-e-arzu raushan na saeban-e-talab sara-e-dil mein kahan koi ab thaharta hai sab apne aap se khaif hain in dinon 'akhtar' har ek shakhs yahan aaine se darta hai