koi bhi shahr mein khul kar na baghal-gir hua main bhi uktae hue logon se ukta ke mila din ke kandhe pe dahakte hue suraj ki salib raat ki god mein thithura hua mahtab mila kahin ashkon ke diye hain na tabassum ke charagh log patthar ke hue jate hain rafta rafta nind palkon ke dariche se lagi baithi hai sone deta hi nahin garm hawa ka jhonka wo chahakti hui khidki na mahakte dar-o-baam un ke kuche mein bhi kal maut ka sannata tha lakh tahzib ke ghaaron mein chhupe hum 'akhtar' phir bhi uryaniyat-e-waqt se daman na bacha