kisi khayal ki surat mein ab guman se nikal sukhan ka tir hai to hont ki kaman se nikal kabhi to mujh ko mere aks tak rasai de ai aaine tu kisi roz darmiyan se nikal chhupe hue koi manzar meri nigah mein aa ai koi an-kahe misre meri zaban se nikal tere siwa bhi bahut log muntazir hain mere so apni chot laga aur dastan se nikal mere nasib ke tare kahin fazaon mein mil main chal pada hun zamin se tu aasman se nikal