nikla jo chilmanon se wo chehra aaftabi ek aan mein ufuq ka aanchal hua gulabi rukh se naqab un ke sarka hua hai kuchh kuchh diwana kar na dale ye nim-be-hijabi sau jam ka nasha hai saqi teri nazar mein kahte hain baada-kash bhi mujh ko tera sharabi bekar lag rahi hain duniya ki sab kitaben dekhi hai jab se main ne surat teri kitabi murjhae phul sab hain kaliyon ne sar jhukae gulshan mein ek sitam hai ye teri be-naqabi kab chain se raha hai ye fikr ka parinda 'fayyaz' ki hai fitrat kis darja iztirabi