kisi ki aankhon ka zikr chheden ajib kuchh pur-waqar aankhen magar khuda wasta na dale badi hi be-e'tibar aankhen numaishi rasm-e-parda-dari rahegi jab tak to ye bhi hoga naqab sarkegi jab zara bhi uthengi be-ikhtiyar aankhen jahan jahan rabt-e-chashm-o-dil hai wahan wahan baat chal rahi hai nahin to bazm-e-khamoshan mein hazar dil hain hazar aankhen naqab utthi to apna aalam na tark-e-jalwa na tab-e-jalwa nazar uthi bar bar lekin jhapak gain bar bar aankhen nazar mila kar nazar bacha kar nazar badal kar nazar chura kar namuna ban ban ke kah rahi hain haqiqat-e-rozgar aankhen kisi se izhaar-e-muddaa par mera wo khauf-o-hiras 'mahshar' kisi ki wo tez tez sansen kisi ki wo be-qarar aankhen