hamare shauq ki ye intiha thi qadam rakkha ki manzil rasta thi bichhad ke dar se ban ban phira wo hiran ko apni kasturi saza thi kabhi jo khwab tha wo pa liya hai magar jo kho gai wo chiz kya thi main bachpan mein khilaune todta tha mere anjam ki wo ibtida thi mohabbat mar gai mujh ko bhi gham hai mere achchhe dinon ki aashna thi jise chhu lun main wo ho jae sona tujhe dekha to jaana bad-dua thi mariz-e-khwab ko to ab shifa hai magar duniya badi kadwi dawa thi