kisi ki aankhon mein sail-e-ab nahin zindagi tera bhi jawab nahin hum se kahti hai sham-e-tanhai main nahin aaj ya janab nahin dil ko zanjir kar diya hum ne ab wo pahla sa pech-o-tab nahin munh se kuchh bol waqt thoda hai khamushi baat ka jawab nahin jis se raushan hai dasht-e-fikr-o-khayal ek aurat hai mahtab nahin sath hai zindagi ke ranj-e-firaq ek do din ka ye azab nahin apni tabir apne pas rakho meri aankhon mein koi khwab nahin rahm kar rahm rabb-e-maujudat bakhshishon ka teri hisab nahin