kisi ki anjuman-e-naz mein hua ruswa main ek rind-e-tarab-gah-e-arzu thahra wo muskura diya saghar chhalak utha dil ka nasha chadha to kuchh aisa ki phir utar na saka kabhi talatum-e-dariya kabhi hai hasrat-e-dil hamare husn-e-talab ko dua se nisbat kya khizan ke sar koi ilzam kis liye aae gale pe ban gaya khanjar bahaar ka sauda charagh-e-rahguzar shan-e-be-niyazi se tamam raat hawaon ki zad mein raushan tha kahan ke dar-o-rasan kushta-e-wafa ke liye use to kucha-e-jaanan ki lag chuki hai hawa jabin-e-shauq to rakh di hai aastan pe tere hawa-e-dil na uda le chale su-e-sahra wo jis ke husn ka shohra tamam shahr mein hai suna hai 'anjum'-e-wahshi pe mehrban hua