rang-e-mahfil hai kahan subh-e-bahaaran ki tarah

rang-e-mahfil hai kahan subh-e-bahaaran ki tarah
bazm sajti hai magar husn-e-gurezan ki tarah

yaad aati hai teri mauj-e-hawa ke manind
dil mein chubhti hai magar khar-e-mughilan ki tarah

hukm hai marg-e-tabassum ka urus-e-gul ko
hakim-e-waqt ki taqdir hai yazdan ki tarah

umr bhar ke liye sarshaar jo kar de aisi
mai kahan se koi lae gham-e-pinhan ki tarah

shahr mein bhi meri wahshat ka thikana kya hai
dil ke virane to phaile hain bayaban ki tarah

aa gaya pas koi aalam-e-tanhai mein
ji ko thandak si mili dard ke darman ki tarah

raat tarik sahi raat ke sahra mein magar
kitne mahtab ubhar aae ghazalan ki tarah

zulf-bar-dosh hansi lab pe nigahon mein nasha
khil utha chehra-e-mahbub gulistan ki tarah

jaane kis khak se uttha tha tamanna ka khamir
aagahi lipti rahi gesu-e-jaanan ki tarah

tujh se jab chhut ke hue pahle-pahal hum tanha
raat bhar rote rahe sham-e-shabistan ki tarah

ishq ke aur hain andaz bahut se 'anjum'
koi ruswa na hua chaak-e-gareban ki tarah


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close