kisi ki be-rukhi hai aur main hun maal-e-ashiqi hai aur main hun falak ne phir nae fitne jagae kamal-e-dushmani hai aur main hun jigar ke dagh hain sham-e-farozan har ek su raushni hai aur main hun khushi ka bab mujh ko dhundhta hai kitab-e-zindagi hai aur main hun mata-e-dil lutae ja raha hun meri dariya-dili hai aur main hun tha kal tak raunaq-e-bazm-e-hasinan magar ab bebasi hai aur main hun saje 'azad' kaise bazm-e-hasti yahi gar zindagi hai aur main hun