na hote rind gar saqi to maikhane kahan jate surahi kis ke ghar jati ye paimane kahan jate pata manzil ka milta hai to diwanon se milta hai na hote gar ye diwane to farzane kahan jate tumhaare aariz-e-taban harif-e-shama-e-mahfil hain na aate khich ke parwane khuda jaane kahan jate mere mamnun hain dasht-o-bayaban ek muddat se chaman mein gar bahal jata to virane kahan jate tumhaari zulf ke kham halqa-e-zanjir-e-zindan hain na aate dam-e-gesu mein to diwane kahan jate pata dil ka hamare aap ko malum tha warna nazar ke tir le kar shauq farmane kahan jate budhape mein jawani ka zamana yaad aata hai magar 'azad' wo lamhat phir lane kahan jate