kisi ki duri ka ehsas kyun dilati hai ajab hai chandni mujh ko bahut satati hai main is khayal se tanha safar pe nikla hun kabhi to rah bhi khud rasta dikhati hai kisi ka lahja koi baat chhoti sada si kabhi kabhi to bahut dard de ke jati hai main tere khwab liye raat bhar tahalta hun mujhe bata ki tujhe kaise nind aati hai tum apne aage kisi aur ko na samjho kuchh koi kitab ye tahzib kab sikhati hai ana ki zid pe hue jab kabhi sawar 'aslam' kisi ki baat kahan kab samajh mein aati hai