labon par tishnagi aankhon mein hai barsat ka aalam ki tanha kaise guzrega bata jazbaat ka aalam safar khushbu bane aur raste aasan ho jaen nigahon mein sama jae jo teri zat ka aalam bulandi par khade ho kar miyan hairan se kyon ho samajh mein aa gaya shayad anokhi mat ka aalam juda hona rag-e-jaan se bhala aasan hi kab tha mere har har nafas mein ghul gaya sakraat ka aalam agar hain niyyaten shaffaf aur dil mein hai gunjaish sulajh kar kyun nahin deta ye uljhi baat ka aalam main ungli pherta hun jab kabhi bhige se sahil par bana deta hai taswiren teri zarraat ka aalam