kisi ki jubba-sai se kabhi ghista nahin patthar wo chaukhat mom ki chaukhat hai ya meri jabin patthar khula ab rakhte hain pahlu main pinhan naznin patthar na tha malum hain qalb-e-butan-o-mah-jabin patthar bithaya khatam-e-izzat pe tere nam-e-nami ne wagarna hai ye zahir tha haqiqat mein nagin patthar dikhae phir na kyun tasir apni jazb-e-ruhani yaqin ho jae jab hajat-rawa hai bil-yaqin patthar talash-e-yar mein kya khar daman-gir himmat hon hue nadim mile jab sadd-e-rah ban kar kahin patthar jo main ai koh-kan dun jaan-e-shirin ishq-e-shirin mein to dikhlae bajae shir ju-e-abgin patthar gira dun faiz-e-eajaz-e-nubuwwat se wo momin hun chhupaen phir mukhalif gar myan-e-astin patthar pas-e-murdan rahe qalb-o-jigar mein gar yahi sozish to lauh-e-sang-e-marmar hogi az khud aatishin patthar ye kahta hai kisi na-mehrban ka mehrban hona pasijenge teri garmi se aah-e-atishin patthar girin har sang-dil par bijliyan aisi hawadis ki ki dete hain gawahi teri aah-e-atishin patthar 'habib' aae kahan se tazgi nakhl-e-mazamin mein jahan tak dekhiye hai yak-qalam ye gul-zamin patthar