wo mere hisab mein intiha nahin chahta magar ek main hun ki ibtida nahin chahta mere sehan par khula aasman rahe ki main use dhup chhanw mein bantana nahin chahta kabhi khul sake kisi e'tibar ke daur mein mujhe chahta hai wo dil se ya nahin chahta koi aur bhi ho charagh bazm-e-hayat ka sar-e-taq rakkha hua diya nahin chahta ye mere wajud ka masala bhi ajib hai jo main chahta hun wo dusra nahin chahta