kisi ki sans ukhadti ja rahi thi mein lachaari se takti ja rahi thi jo phenki kankari thi qabr par wo dua-e-khair karti ja rahi thi udhar tha husn ka inkar phir bhi talab musa ki badhti ja rahi thi tawaf-e-kaba ki aisi khushi thi ki meri sans rukti ja rahi thi zamane ke sitam sahte hue bhi 'zamani' shauq karti ja rahi thi