kisi ki sham-e-sadgi sahar ka rang pa gai saba ke panw thak gae magar bahaar aa gai chaman ki jashn-gah mein udasiyan bhi kam na thin jali jo koi sham-e-gul kali ka dil bujha gai butan-e-rang-rang se bhare the but-kade magar teri ada-e-sadgi meri nazar ko bha gai meri nigah-e-tishna-lab ki sarkhushi na puchhiye ke jab uthi nigah-e-naz pi gai pila gai khizan ka daur hai magar wo is ada se aae hain bahaar 'darshan'-e-hazin ki zindagi pe chha gai