kahin jamal-e-azal hum ko runuma na mila mile to husn magar husn aap sa na mila rahi talash magar dard aashna na mila hamare baad unhen hum sa ba-wafa na mila gae hain dair-o-haram mein bhi barha lekin wo aasra jo diya tu ne saqiya na mila jo dur the to bahut parsa the ye zahid jo pas aae to koi bhi parsa na mila muqable ki jo taqat thi wo ubhar to saki khuda ka shukr hai kashti ko nakhuda na mila jawab-e-jannat-e-rangin sahi teri duniya magar hamein to yahan lutf ai khuda na mila hawa-o-hirs ke lakhon shikar pae magar koi bhi dard mohabbat mein mubtala na mila jo chashm-e-mast se chhalka ke de alast ki mai tere siwa koi duniya mein saqiya na mila mujhi ko bakhsh diye kul jahan ke aalam gham-e-jahan ke liye koi dusra na mila kahun to kis se kahun dil ki baat ai 'darshan' sune jo dard-e-bashar aisa ham-nawa na mila