kisi ki yaad mein shaMein jalana bhul jata hai

kisi ki yaad mein shamen jalana bhul jata hai
koi kitna hi pyara ho zamana bhul jata hai

kisi din be-niyazi us ki mujh ko mar dalegi
khafa karta hai wo lekin manana bhul jata hai

rukh-e-raushan pe zulfon ka ye girna jaan-lewa hai
aur us par ye sitam dilbar hatana bhul jata hai

agar hai bhulna mujh ko kisi se pyar kar lena
naya banta hai jab rishta purana bhul jata hai

isi bais main sine se use udne nahin deta
ye dil aisa parinda hai thikana bhul jata hai

hamein hai wasl ki khwahish magar ye kaam duniya ke
main jaana bhul jata hun wo aana bhul jata hai

kisi se kya karun shikwa mile hain zakhm hi aise
ki jin par waqt bhi marham lagana bhul jata hai

koi aaseb hai shayad tumhaare shahr mein 'sani'
yahan pe rahne wala muskurana bhul jata hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close