kisi ki yaaden meri chashm-e-tar mein rahti hain

kisi ki yaaden meri chashm-e-tar mein rahti hain
ye kashtiyan hain kuchh aisi bhanwar mein rahti hain

zamana ho gaya ninden nahin nasib huin
hamari khwahishen zehni safar mein rahti hain

kahin se pankh milen aur aasman chhu len
kuchh aisi hasraten har ek bashar mein rahti hain

ye soti jagti rahti hain us ki yaadon mein
hamari aankhen usi ke asar mein rahti hain

safar hayat ka pur-lutf hai magar ai dost
musibaten bhi usi rahguzar mein rahti hain

hawa mein tairti phirti hain kitni afwahen
dikhai deti nahin aur khabar mein rahti hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close