na koi mamnua dana khana na khauf dil mein utarna tha jo hum ne pahla gunah kiya tha kisi ki naqlen utarna tha jadid duniya mein aane walon ki pahli mudbhed hum se hoti hamare unit ka kaam un ke badan se mohren utarna tha khuda na hota to karwan-e-jahan mein apni jagah na banti ki in dinon mein hamara pesha safar mein nazren utarna tha hum aise lafzon ke karigar the ki mandiyon mein hamara theka shuur-e-kuza-gari ki khatir waraq pe shaklen utarna tha hamare logon ne bahami mashware se mil kar bujha diye the wo dip jin ke hasab nasab mein zamin pe subhen utarna tha hamari ghadiyon pe sham hone mein panch bajne mein din pade the so hum ko chhutti se pahle khud ko kisi lahad mein utarna tha kisi ke lahje ki chat aisi lagi ki apna shiar 'arish' mukalme ke junun mein khud par udas nazmen utarna tha