kisi kisi ki taraf dekhta to main bhi hun bahut bura nahin itna bura to main bhi hun khiram-e-umar tera kaam paemali hai magar ye dekh tere zer-e-pa to main bhi hun bahut udas ho diwar-o-dar ke jalne se mujhe bhi thik se dekho jala to main bhi hun talash-e-gum-shudgan mein nikal chalun lekin ye sochta hun ki khoya hua to main bhi hun mere liye to ye jo kuchh hai wahm hai lekin yaqin karo na karo wahima to main bhi hun zamin pe shor jo itna hai sirf shor nahin ki darmiyan mein kahin bolta to main bhi hun ajab nahin jo mujhi par wo baat khul jae barae nam sahi sochta to main bhi hun main dusron ke jahannam se bhagta hun 'farogh' farogh apne liye dusra to main bhi hun