khwab ko din ki shikaston ka mudawa na samajh nind par takiya na kar shab ko masiha na samajh hijr ke shahr mein gulzar kahan milte hain subh ko dasht samajh sham ko virana samajh main kahin aur ka tuta hua tara hun koi tu mujhe apne sitaron se ulajhta na samajh mujh pe khul ja ki mere dil mein koi pech pade apni tanhai ke asrar-e-zulekhana samajh rasta de ki mohabbat mein badan shamil hai main faqat ruh nahin hun mujhe halka na samajh