kisi ko apne amal ka hisab kya dete sawal sare ghalat the jawab kya dete kharab sadiyon ki be-khwabiyan thin aankhon mein ab in be-ant khalaon mein khwab kya dete hawa ki tarah musafir the dilbaron ke dil unhen bas ek hi ghar ka azab kya dete sharab dil ki talab thi shara ke pahre mein hum itni tangi mein us ko sharab kya dete 'munir' dasht shurua se sarab-asa tha is aaine ko tamanna ki aab kya dete