tarab-zaron pe kya biti sanam-khanon pe kya guzri dil-e-zinda tere marhum armanon pe kya guzri zamin ne khun ugla aasman ne aag barsai jab insanon ke dil badle to insanon pe kya guzri hamein ye fikr un ki anjuman kis haal mein hogi unhen ye gham ki un se chhut ke diwanon pe kya guzri mera ilhad to khair ek lanat tha so hai ab tak magar is aalam-e-wahshat mein imanon pe kya guzri ye manzar kaun sa manzar hai pahchana nahin jata siyah-khanon se kuchh puchho shabistanon pe kya guzri chalo wo kufr ke ghar se salamat aa gae lekin khuda ki mumlikat mein sokhta-jaanon pe kya guzri