kisi ko dard sunana bhi kitna mushkil tha

kisi ko dard sunana bhi kitna mushkil tha
mazaq apna udana bhi kitna mushkil tha

haqiqaton pe hasin parda dalne ke liye
fusun ka jal bichhana bhi kitna mushkil tha

kabhi raha tha jin aankhon ka ban ke surma main
unhin se aankh churana bhi kitna mushkil tha

wo lan-tarani mein tha mahw aankh band kiye
so us ko shisha dikhana bhi kitna mushkil tha

gulon mein ki wo lagai bujhai sarsar ne
chaman ki laj bachana bhi kitna mushkil tha

'asar' khalal ke sharare the dasht-o-sahra mein
sukun ka khema lagana bhi kitna mushkil tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close