agar hai manzur ye ki howe hamare sine ka dagh thanda to aa lipatiye gale se ai jaan jhamak se kar jhap charagh thanda hum aur tum jaan ab is qadar to mohabbaton mein hain ek tan man lagaya tum ne jabin pe sandal hua hamara dimagh thanda labon se lagte hi ho gai thi tamam sardi dil-o-jigar mein diya tha saqi ne raat hum ko kuchh aise mai ka ayagh thanda darakht bhige hain kal ke meinh se chaman chaman mein bhara hai pani jo sair kije to aaj sahab ajab tarah ka hai bagh thanda wahi hai kaamil 'nazir' is ja wahi hai raushan-dil ai azizo hawa se duniya ki jis ke dil ka na howe hargiz charagh thanda