kisi ko fikr jo di hai to fan nahin deta wo sab ko ek sa tarz-e-sukhan nahin deta main apni khana-nashini mein har tarah khush hun na de koi jo mujhe anjuman nahin deta use khabar hai ki tarz-e-khitab jaanta hun isi liye mujhe izn-e-sukhan nahin deta bade nasib se milti hai aisi jama-dari khuda har ek ko diwana-pan nahin deta bujhao tum bhi ise phunk mar ke 'qaisar' koi charagh ki lau mein dahan nahin deta