jah-o-hashmat ke liye rutba-o-izzat ke liye log badnam hue jate hain shohrat ke liye ab hamein nang-e-jahan kahte hain kahne wale hum the mashhur zamane mein sharafat ke liye phut sakti hain kahin se bhi kashish ki kirnen parda-e-chashm hi kafi nahin aurat ke liye tut kar apne bikharne ka na hota ehsas tum na tayyar hue hote jo hijrat ke liye anginat logon ki gumnam khushi hai 'qaisar' shairi main nahin karta kisi khilat ke liye