kisi ko hum se hain chand shikwe kisi ko behad shikayaten hain hamare hisse mein sirf apni safaiyan hain wazahaten hain qadam qadam par badal rahe hain musafiron ki talab ke raste hawaon jaisi mohabbaten hain sadaon jaisi rifaqaten hain kisi ka maqruz main nahin par mere gareban pe hath sab ke koi meri chahaton ka dushman kisi ko darkar chahaten hain teri judai ke kitne suraj ufuq pe dube magar abhi tak khalish hai sine mein pahle din si lahu main waisi hi wahshaten hain meri mohabbat ke raaz-dan ne ye kah ke lauta diya mera khat ki bhigi bhigi si aansuon mein tamam gunjalak ibaraten hain main dusron ki khushi ki khatir ghubar ban kar bikhar gaya hun magar kisi ne ye haq na mana ki meri bhi kuchh zaruraten hain