qalam ko is liye talwar karna ki badh ke zulm par hai war karna mili hai zindagi to hum ne socha hamein kaisa yahan kirdar karna bhala pahle hi patthar kyun bichhae agar tha rasta hamwar karna jahan par man ko gahri nind aai usi mitti ka hai didar karna 'saba' hai aazmaish ka tasalsul ki dariyaon pe dariya par karna