kisi ko lakh zamana kahe wo achchhe the

kisi ko lakh zamana kahe wo achchhe the
jo log aap ko achchhe lage wo achchhe the

jo paude main ne lagae the us mein phul khile
jo phul tohfe mein mujh ko mile wo achchhe the

tha nok-e-tegh-e-wafa ka safar magar jo log
idhar udhar se guzarte rahe wo achchhe the

wo baad-e-wasl wafa ki umid karne laga
zakat de ke jo chalte bane wo achchhe the

jo shakhs sab se bura tha yahan par us ki bhi
kuchh ek ghazlen thin kuchh sher the wo achchhe the

khamosh rah ke marasim bachae to ye khula
jhagadte the jo bina baat ke wo achchhe the

kahani-kar ne maqta badal diya warna
ghazal mein wasl ke jo sher the wo achchhe the


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close