maut bhi samne aa jae to ud sakta hun itna achchha hun ki ab sirf bigad sakta hun main wo basti hun jo basti hai ujadne ke liye mujh ko aadat hai ujadne ki ujad sakta hun tum se pahle bhi kai chhod chuke hai mujh ko tum se pahle bhi main bichhda hun bichhad sakta hun kaun karta hai yahan jang natije ke liye jit kar haarne wale se jhagad sakta hun daud mein jitne bhi ladke hain wo jute mein hain main bina panw hun mumkin hai pichhad sakta hun main tumhein chand sitare to nahi de sakta tang lamhon mein magar hath pakad sakta hun