kisi ko naz-e-khirad hai kisi ko fakhr-e-junun main apne dil ka fasana kahun to kis se kahun na iztirab mein lazzat na aarzu-e-sukun koi kahe ki main ab kya fareb kha ke jiyun rahegi phir na ye kaifiyyat-e-talab ai dil chhupe hue hain to hai ishtiyaq-e-did fuzun hai aaj dil pe guman husn-e-na-shanasi ka jala chuke jab use jalwa-ha-e-guna-gun ho ab bhi fikr mein mushkil to yaad aate hain wo har ada mein taghazzul ke saikdon mazmun tum aise kaun khuda ho ki umr bhar tum se umid bhi na rakhun na-umid bhi na rahun