harf-e-kun shah-e-rag-e-hu mein gum hai ek jahan zauq-e-numu mein gum hai apne hi husn ka akkas hai husn aaina aaina-ru mein gum hai kaif-amez hai kaifiyyat-e-haal nashsha-e-mai ki subu mein gum hai dard chikh uthta hai sine mein koi zakhm jaise ki lahu mein gum hai tir mat dekh mere zakhm ko dekh yar-e-yar apna adu mein gum hai khol mat band-e-qaba rahne de chaak-e-daman rafu mein gum hai nafa-e-ahu-e-tatar hai ishq bu-e-gul apni hi bu mein gum hai khak udti hai sar-e-sahil jo tishnagi nahr-e-gulu mein gum hai ye bhi kya khud hai ki khud mein bhi nahin ye bhi kya main hai ki tu mein gum hai mast hun apni ana mein main bhi aur wo apni hi khu mein gum he